Monday, May 31, 2010

10k Marathon


Tadaaaaaa......

Finishing the 10kms (barely) in 1 hour and 9 mins (approx).

Bad cramps.... Good company of people i dont know. And a lot of fun

Friday, May 14, 2010

Do kadam aur sahi

Probably by M F Hussain

Zindagi haath mila. Saath chal, saath mein aa
Umr bhar saath rahe, Do kadam aur sahi

koi suraj ki dagar, koi sone ka nagar
chaand ke rath pe chale, jahaan tehre yeh nazar
dhup dariyaaon mein hain, phir safar paaon mein hain
dil ka aawara diya, doosre gaaon mein hain
aao chale hum wahi, do kadam aur sahi

Khwaab dhaltein hain jahaan, dil pighaltein hain jahaan
aao chaltein hain wahi, woh zameen door nahi
dosti hogi wahaan, roshni hogi wahaan
uss ujaale ke liye, jal chuke laakhon diye
ek hum aur sahi, do kadam aur sahi

kiski awaaz hai? sunn, yeh naya saaz hai sunn
kaun rehta hai sadaa, chal ke dekhein zaraa
raah veeraan sahi, raat sunsaan sahi
har ghadi saath rahe, kitne gam saath sahi
thode gam aur sahi… thode gam aur sahi
Do kadam aur sahi, Do kadam aur sahi